Artist: Lata Mangeshkar + Jagit Singh
Album: Sajda
Lyrics: Nida Fazli
Har Taraf Har Jagah
har taraf har jagah beshumaar aadmi
phir bhi tanhaiyon ka shikar aadmi
subah se shaam tak bojh dhota hua
apani hi laash ka khud mazaar aadmi
har taraf bhagate daudate raaste
har taraf aadmi kaa shikar aadmi
roz jeeta hua roz marta hua
har nae din naya intezaar aadmi
zindagi kaa muqqaddar safar dar safar
aakhiri saans tak beqarar aadmi
No comments:
Post a Comment