Artist: Lata Mangeshkar
Album: Sajda
Lyric: Qateel Shifai
Dard Se Mera Damaan
dard se mera daaman bhar de yaa allaah
phir chaahe dewaanaa kar de yaa allah
main ne tujhse chaand sitaare kab maange
roshan dil bedaar nazar de yaa allaah
suraj si ek cheez to ham sab dekh chuke
sachmuch ki ab koi sahar de yaa allaah
yaa dharti ke zakhmon par maraham rakh de
yaa mera dil patthar kar de yaa allaah
No comments:
Post a Comment