Monday, May 21, 2007

song86: Tere Jalwe Ab Mujhe

Song: Tere Jalwe Ab Mujhe
Artist: Lata Mangeshkar
Album: Sajda
Lyrics: Saba Afghani

Tere Jalwe Ab Mujhe

tere jalwe ab mujhe har su nazar aane lage
kaash ye bhi ho ke mujh mein tu nazar aane lage

ibtadaa ye thi ke dekhegi khushi kii ek jhalak
intahaa ye hai ke gam har su nazar aane lage

beqaraarii badhate badhate dil ki fitrat ban gae
shaayad ab taskeen ka pahalu nazar aane lage

khatm karade ae 'Sabaa' ab shaamegam ki daastaan
dekh un aankhon mein bhi aansu nazar aane lage

No comments: