Friday, June 15, 2007

song103: Muh Ki Baat

Song: Muh Ki Baat
Album: Insight
Artist: Jagit Singh
Lyrics: Nida Fazli

Muh Ki Baat

muh ki baat sune har koi, dil ke dard ko jaane kaun
aawaazon ke baazaaron mein khaamoshi pahachaane kaun

sadiyon sadiyon wahi tamaashaa, rastaa rastaa lambii khoj (??)
lekin jab hum mil jaate hain, kho jaataa hai jaane kaun

woh mera aaena hai ya main us ki parachhae hun
mere hi ghar mein rahataa hai, mujh jaisaa hi jaane kaun

kiran kiran alsaataa suraj, palak palak khulati neendein
dheeme dheeme pighal rahaa hai, zarraa-zarraa jaane kaun


No comments: