Artist: Chitra Singh
Album:Mirza Ghalib (TV Series)
Poet: Mirza Ghalib
Kisi Ko Deke Dil
Kisi ko deke dil koi nawasanj-e-fugaan kyon ho,
Na ho jab dil hi seene mein, to phir mooh mein zabaan kyon ho
Wafa kaisi kahan ka ishq jab sar phodana thehera,
To phir aey sang-dil tera hi sang-e-aastaan kyon ho
Yahi hai aazmaana to, sataana kis ko kehate hain,
Adu ke holiye jab tum, to mera intehaan kyon ho
Qafas mein mujh se rudaad-e-chaman kahate na dar hamdam,
Giri hai jis pe kal bijli, woh mera aashiyan kyon ho

No comments:
Post a Comment