Song: Jab Kisi Se Koi Gila Rakhna
Artist : Jagjit Singh
Lyrics: Nida Fazli
Composer: Jagjit Singh
Album: In Search
Jab kisi se koi gila rakhna
saamne apne aaena rakhna
Yun ujaalo se waasta rakhna
shamma ke paas hi hawa rakhna
Ghar ki taameer chahe jaisi ho
isme rone ki kuch jagah rakhna
Masjide hai namaaziyo ke liye
apne ghar mein kahi khuda rakhna
Milna-jhulna jaha zaroori ho
milne-jhulne ka hosla rakhna
No comments:
Post a Comment