Saavli Si Raat Ho
Singer : Arijit Singh
Lyrics : Swanand Kirkire
Composer : Pritam
Album : Baarfi (OST)
Saavli si raat ho
khamoshi ka saath ho
bin kahe , bin sune
baat ho teri meri
Neend jab ho lapata
udasiyaan zara hata
khawabon ki razaae mein
raat ho teri meri
Jhilmil taaron si , aakhein teri
khare khare pani ki jhilein bhari
har dum yunhi tu, haasti rahe
har pal hain dil mein khwahishein
khamoshi ki loriyaan
sun to raat so gayi
bin kahe, bin sune
baat ho teri meri
saavli si raat ho.....
Barfi ke tukre sa
chanda dekho aadha hain
dheere dheere chakhna zara
hasne roolane ka , aadha pauna wada hai
kankhe se takna zara
Yeh jo lamhe hain
lamho ki behti nadi mein bheeg loon
haan bheeg loon
yeh jo aakehin hai ,
aakhon ki gumsum zuba ko mein seekh loon
haan seekh loon
Unkahi si guftagoo,
unsuni si justajoo
bin kahe, bin sune
aapni baat ho gaayi
saavli si...
No comments:
Post a Comment