Sunday, December 13, 2015

song 237 : Khamoshiyan

Song : Khamoshiyan
Artist : Arijit Singh
Lyrics : Rashmi Singh
Composer :  Jeet Ganguly
Album : Khamoshiyan (OST)


Khamoshiyaan

Khamoshiyaan awaaz hai
tum sunne to aao kabhi
chookar tumhe khil jaayengi
gar inko bulaawon kabhi
bekarar hai baat karne ko
kehne do inko zara
khamoshiyaan teri meri khamoshiyaan
khamoshiyaan lipti hui khamoshiyaan

Kya oos gaali mein kabhi tera jana hua
jahan se zamaane ko guzre zamana hua
mera samay to wahi pe hai thehra hua
batawoon tumhe ka mere saath kya kya hua
khamoshiyaan ek saaz hai 
tum dhun koi laayo zara
khamoshiyaan  alfaaz  hai 
kabhi aa gungunaale zara
bekarar hai baat karne ko
kehne do inko zara

Khamoshiyan ....

Nadiya ka paani bhi khamosh behta yahan
khili chaandni mein chipi lakh khamoshiyan
baarish ki boondoo ki hoti hai kaha  zuba
soolagte dilo mein hai khamosh uthta dhuan
khamoshiyan akaash hai 
tum urne to aao zara
khamoshiyan ehsas hai
tunhe mehsoos hoti hai kya
bekarar hai baat .....



No comments: