Tuesday, November 1, 2011

Song 226 : Gum Ka Khazana

Song : Gum Ka Khazana
Artist : Lata Mangeshkar and Jagjit Singh
Music : Jagjit Singh
Lyrics : Shahid Kabir
Album : Sajda


Gum Ka Khazana

gum ka khazana tera bhi hai mera bhi
yeh nazarana tera bhi hai mera bhi

apne gham ko geet banakar ga lena
raag purana tera bhi hai mera bhi

tu mujhko aur mein tujhko samjhaaon kya
dil deewana tera bhi hai mera bhi

shaher mein galiyon galiyon jiska charcha hai
woh afsana tera bhi hai mera bhi

maekhane ki baat na kar waaez mujhse
aanaa jana tera bhi hai mera bhi





No comments: